facebook page ka name change kaise kare? 2 ways

Published Date: September 9, 2023 | Last Updated: September 18, 2023 | By: एम आर. वाघेला

facebook page ka name change kaise kare? 2 ways,  Facebook page ka name kaise badle.  how to change Facebook page’s name. Facebook page ke bare me aap sab  jante hai, Facebook page banakar  ham Apna business ka promotion, parchar, Kar sakte. apne friends ko jod kar Ek team ki Tarah koi bhi Kam Kar sakte hai website ke liye. fb page ka naam kaise badle.

facebook page ka name change kaise kare 2 way
facebook page ka name change kaise kare 2 way

How to rename fb page without losing followers in facebook page.

Page bana kar apne website ka parchar bhi  Kar sakte hai.  par Ek bar page bana lete hai or us par Kafi followers ho jate hai or hame Kisi Karn jis related page banya Hota hai, for example, hamne Ek website ke liye Facebook page banaya or us website domain ko change kar Diya to uske related Facebook pages ka name bhi change Karna padta hai.

kyuki agar page naya banate hai to vo saare followers  vaps pane ki dikhat hoti hai. Ese me us pages ka name hi badle me Acha rahta hai taki followers esi page par bane rahe.

facebook page ka name change kaise kare 2 way

Facebook page ka name change Kaise kare is Post me 2 methods bata raha hu jisse aap aapne Facebook page ka name change kar sakte hai.

1, Pahla tarike Facebook page change karne Ka?

Is pahle tarike se Facebook page ka nam badlane ke liye Facebook par jakar name baldal sakte hai chahe aap browser me open kare ya direct facebook page ka use kare niche me step by step  batata hu.

Step 1, open Facebook

 sabse pahle Facebook apps ko open kare or  open karne ke baad  upar ki aur right side me 3 lines dikh rahi hai us line par click kare, ab aapke samne profile or pura Facebook settings ka option khol jayga, ab isme se Apne us page par click kare jis page ka Name Aap change karne chahte hai . Us Fb Page par click karde.

Step 2, Click on more options;

 Ab aap apne Facebook page me Aa chuke hai.  ab Aapko sabse upar right side me 3…Dots Dikhenge us 3…bindos vale is  …more options par click kare, jese hi aap …more  options par click karenge aap settings wale page me chale jayenge .

facebook page ka name change kaise kare  2 way

Step 3, Click on Edit Page Info….

Page Control  Setting Wale Option Me Se Aapko  Niche Ki Or Page Control  Wale Option Ke Niche Edit Page Info> Par Click Kare.  Ab Aap Dekhenge Ki Nice Sare Vo Options Hai Jis Me Se Aap Jo Chaho Badal Sakte Hai. Jese Website, Email Id, Location, Profile /Cover Photos, Page Ka Description Yeh Sab Change Kar Sakte Hai.

facebook page ka name change kaise kare  2 way

Step 4. Click On About Option

  Ab Aap is option me About  wale option me Aapke page ka name hai is par click karke. Ab  isme aapni marzi ke Anusar Dusra name Dal kar  Save karde, Aap ke page name kuch time bad change hojayga.  

facebook page ka name change kaise kare  2 way

Ab Aapane Pahle Wale Tarike Se Facebook Page Ka Naam Badal Diya Hai. Aap Check Kar Sakte Hain Kuchh time ke Bad Aapko FB Page Ka Naam Change Kiya Hua milega.

   

2: Facebook page name change karne ka Dusra tarika?

Ek dusre wale tarike main aapko Facebook Messenger App dwara FB page ka naam Kaise Badalte Hain Iske bare mein bataoga.

Step:1. sabse pahle Google Play store mein jana hai, Google Play store mein jaane ke bad Facebook Messenger application Naam likhkar search karna hai. uske bad is application ko apne mobile mein download kar lena hai.

Step 2.  Ab Facebook messenger apps ko open kare open karne ke bad Niche ki Aur dekhe bilkul niche me Right side me ek Bag jesa Nisaan wale option hai  us option par click kare. uske bad Aapke FB page settings ka pura options khol jayega.             

facebook page ka name change kaise kare  2 way

Setp:3 ab aapko page manager tool wale option  ke just niche setting ka option hai us option par click karna hai. jese hi aap setting par click karte hai to ek or page khulega .

Setp 4. Ab aapko General wale options me  niche kafi options dika rahe hai usme se upar se 5 number wale option me is  page info par click kare.

facebook page ka name change kaise kare  2 way

Step 5. Ab jese hi aap page info par click karte hai to is updated page info me  pahla wala option me Edit name  me  Aapke mozooda page ka name show hoga. us ki jagah par Aapne New page ka nane dal kar  Sabse Niche  Save  Bottom par click karke save kar de. bas hogya name change.  

facebook page ka name change kaise kare 2 way

is Dusre wale Tarike se Apne Facebook Page ka Name Safaltapurvak change kar diya hai. Aap check karke dekh sakte hain.

Is tarah se aap Aane Facebook page  name change kar sakte hai. badal sakte hai maine is post me Facebook page ka name kaise change kare ke bare me puri jankari di hai. yeh jankari Apko kaisi lagi comment karke jarur bataye . Aapke koi sawal hai to comment kar ke bata sakte hai. Dhanywa.

नमस्ते दोस्तों: मैं एम आर वाघेला आपका दोस्त, Indian Blog Help का founder हूं। इस वेबसाइट के माध्यम से उपयोगी जानकारियां ❤️ आप तक पहुंचाता हूं। नई-नई जानकारियां सीखने के लिए इस वेबसाइट पर विजिट करें।

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.